chalo ao phir kisi din mulaqat kar k daikhain
beeti hoi baton ko phir yad kar k daikhain
kuch gum bhi bhool jain
kuch doorian b kam houn
ik sham ik 2sray k naam kar k daikhain
jo reh gai thi dil mai
jo tum ko thi batani
phir milay na milay moqa wo baat kar k daikhain
ya baatoun hi baatoun main
wo baat ho bhi jaey
jis baat main wo baat ho wo baat kar k daikhain
chalo ao phir kisi din..............
*************************************************************************
to jahan rahay meri dua ki chaoun ho
wo shaher ho ya gaoun ho
teri ankh main nami na ho
kisi cheez ki kami na ho
tujhe jo lagay nazar na ho
kisi dukh ko teri khabar na ho
to jisay chahay wo tujhay milay
teri wasal-e-shab ki sehar na ho
teri rah main koos-e-kaza rahay
khushi teray paoun ki dhool ho
meri ye dua kabool ho....
*************************************************************************
barishoun k mousam mai
waqat k andhairoun mai
main ne os say pocha tha
chor to na jao gay?
hath tham kar os nay
kan main ye bola tha
kaisay chor sakta houn?
tum to jaan ho meri...
or.............
aj aisa hai...
waqat ki tamazat main
wahshatoun k mousam mai
main ne os say pocha hai
chor k he jana tha
muskurati galiyoun mai
to aas kiun jagai thi?
meray in sawaloun per
na wo chonka na he thehra
chaltay chaltay itna kaha
mousam k khail hain sab
waqat ka tagayur hai.....
*************************************************************************
kabhi waqat milay to aa jao
hum jheel kinaray ja bathian
tum apnay sukh ki baat karo
hum apnay dukh ki baat karain
or in lamhoun ki baat karain
jo sang tumharay beet gayey
apnay pyaar k jadoo say
on lamhoun ko jageer karain
kabhi waqat milay to aa jao
hum jheel kinaray ja bathain..
*************************************************************************
tera yun sanwar k ana meray dil
or dheemay se muskurana meray dil
meray jism say rooh ko kinch laita hai
tera madhosh ankhoun say mujhay daikhna meray dil
main in ankhoun ki tareef kaisay likoun
mudatoun sochna paray ga mujhe meray dil
ik hasrat thi os k hath chomnay ki
kar dala os baat ko b os nay nishana meray dil
main kahin b chala joun magar
meray mehboob k pass rehna meray dil...
*************************************************************************
dua ki sorat main ic ki khatir
jo meray hontoun say lafz niklay
jo meri ankhoun say ashak niklay
in he k badlay main ay khudaya
jab b ic ka naseeb likhna..
urooj likhna kamal likhna
kabhi na harf-e-zawal likhna..ameen
*************************************************************************